Hamare yaha ghadi ki sui, character decide karti hai
Rock show mei hai to hint hai. Library ya mandir mein hai to hint nahi hai! Venue decide karta hai aapka character.
Kisi bhi ladki ko, kisi bhi ladke ke saath, kahi bhi akele nahi jana chahiye. Kyunki aisa karne pe, wahan ke log ye assume kar lete hai ki wo ladki willingly wahan pe aayi hai aur unhe usse touch karne ka license issue kar dia gaya hai.
Raat ko ladkiyan jab sadak pe akeli jaati hai to gaadiyaan slow jaati hai aur unke sheeshe neeche ho jate hai. Din mei ye mahan idea kisiko nahi aata.
Sharab ko yaha ek galat character ki nishani maana jaata hai, sirf ladkiyon ke liye. Ladkon ke liye to ye sirf ek Health Hazard hai!
Shahar mein ladkiyon ko akela nahi rehna chahiye. Ladke reh sakte hai par ladkiyan nahi. Akeli, independent ladkiyan, ladkon ko confuse kar deti hai.
Jo ladkiyan party mei jaati hai aur drink karti hai, wo pushtaini hak ban jaati hai aapka
Agar ladkiyan, ladkon ke saath dinner ya drinks pe jaati hai to ye unki apni choice hoti hai. Avaialable hone ka sign board nahi banke jaati.
‘Na’ sirf ek shabd nahi… apne aap mein pura vakya hai. Ise kisi tark, spashtikaran,explanation ya vyakhya ki jaroorat nahi hoti.
These boys must realise that No ka matlab No hota hai. Use bolne wali ladki koi parichit ho, friend ho, girlfriend ho, koi sex worker ho ya aapki apni biwi hi kyu na ho. ‘No’ means no and when someone says No, you stop.
0 Comments